Backup_of_Roman

Khusha Masjido Mad’rasa KhanKahe Ke Dar
Vai Buvad Kilo Kale
Mohammad Sallallahu Ta’aala Alaihi Wasallam
Shaj’ratun Tayyebtun Asluha Sabitun Far’uha Fissama
Silsila-E-Aaliya, Qadriya, Razviya
-: Peere Tarikat :Huzoor Tajushshariah, Hazrat Allama, Maulana, Mufti, Alhaj
Mohammad Akhtar Raza Khan
Qadri, Barkati, Razvi, Az’hari, Damat Barkatuhoomul Aaliya
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
82, Mohalla Saudagaran, Dargah-E-Aala Hazrat,
Bareilly Sharif, Uttar Pradesh - 243003, India
Shajra-E-Alliya
Hazraate Aaliya Qadriya, Razviya Ridwanullahi
Ta’aala Alaihim Ajmayin ila Yaumiddin
Ya ILAHI Raham Farma Mustafa Ke Waste
Ya Rasoolallah Karam Kijiye KHUDA Ke Waste
Mushkile Hal Kar Shahe Mushkil Kusha Ke Waste
Kar Balayen Radd Shahide Karbala Ke Waste
Sid’ke Sadik Ka Tasadduk Sadikul Islam Kar,
Be Gazab Razee Ho Kazim Aur Raza Ke Waste
Sayyedi Sajjada Ke Sadqe Sajid Rakh Muze,
Ilme Huq De Baqire Ilme Huda Ke Waste
Bahare Ma’aroofo Saree Ma’aroof De Be Khud Saree
Junde Huq Mein Gin Junaide Ba Safa Ke Waste
Bahare Shibali Shere Huq Duniya Ke Kutto Se Bacha,
Ek Ka Rakh Abde Wahid Be Riya Ke Waste
Bul Farah Ka Sadqa Kar Gam Ko Farah De Husno Sa’ad,
Bul Hasan Aur Boo Saeede Sa’adaza Ke Waste
Qadri Kar , Qadri Rakh , Qadriyo Mein Uthha,
Qad’re Abdul Qadire Qudrat Numa Ke Waste
Ahsanllahu Lahu Rizkan Se De Rizqe Hasan,
Bandaye Razzak Tajul Asfiyaa Ke Waste
Nastra Abi Saleh Ka Sadqa Saleh Wa Mansur Rakh,
De Hayate Dee Muhiyye Jaa’n Fiza Ke Waste
Toore Irfan Wa Uloo Wa Hamd Wa Husna Wa Baha,
De Ali Moosa Hasan Ahmad Baha Ke Waste
Baher Ibraheem Muz Par Naare Gam Gulzar Kar,
Bhik De Data Bhikaree Badshah Ke Waste
1
KhanaE Dil Ko Ziya De Rooye Ima’n Ko Jamal,
Shah Ziya Maula Jamalul Auliya Ke Waste
De Mohammad Ke Liye Rozi Kar Ahmad Ke Liye,
Khwane Fazlullah Se Hissa Gada Ke Waste
Deeno Duniya Ki Muze Barkat De Barkat Se,
Ishqe Huq De Ishqiye Ishqintima Ke Waste
Hubbe Ahle Bait De Aale Mohammad Ke Liye,
Kar Shahide Ishqe Hamza Peshwa Ke Waste
Dil Ko Accha Tan Ko Suthhra Jaan Ko Purnoor Kar,
Achhe Pyare Shamse Dee’n Badrul Ula Ke Waste
Do Jaha’n Mein Khadime Aale Rasoolullah Kar,
Hazrate Aale Rasoole Muqtada Ke Waste
Noor Jano, Noor Imaa’n, Noor Kabro-Hashra De,
Bul Husaine Ahmade Noori Lika Ke Waste
Kar Ata Ahmad Razae Ahmade Mursal Muze,
Mere Maula Hazrate Ahmad Raza Ke Waste
Hamid E Mahmood Aur Hammad E Ahmad Kar Muze,
Mere Maula Hazrate Hamid Raza Ke Waste
Saya e Jumla Mashayikh Ya Khuda Hum Par Rahe,
Raham Farma Aale Rahma’n Mustafa Ke Waste
Baher Ibraheem Bhi Lutfo Ataye Khas Ho,
Noor Ki Sarkar Se Hissa Gada Ke Waste
Aye KHUDA Akhtar Raza Ko Charkh Par Islam Ke,
Rakh Darakhsha’n Har Ghadi Apni Raza Ke Waste
Sadka In A’ayaa’n Ka De Chheh Ain Iz,
ilm Wa Amal, Afw Irfa’n, Aafiyat
Is Be Nava Ke Waste.
2
Fateh-E-Silsila
Yah Shajra Mubarak har roz baad Namaz-ESub’h ek baar parh liya karein, ba-wuzoo
Durude Gausiya sat baar fir Durude Gausiya
Teen baar parh kar is ka sawab in tamam
masha’ikhe kiram ki arwahe tayyibah ki najra
karein. Jis ke hathh par baiyat ki hai agar wo
zinda hai to un ke liye duaae aafiyat wa wa
salamat karein warna un kaa naam bhi
shamile Fatiha kare.
Durude Gausiya
Panj Ganje Qadri
Baad Namaz-E-Sub’h Baad Namaz-E-Johar Baad Namaz-E-Astr Baad Namaz-E-Maghrib Baad Namaz-E-Isha Sab Sau-Sau baar, Awwal wa aakhir TeenTeen baar Durud Sharif ki mudawamat
(Hamesha parhne) se be shumar barkate
deeno duniya zahir hongi.
3
Baad Namaz-e-Fajra Suraj nikalne se pahle
aur baad Namaz-e-Maghrib ise parhe, Is ko
hamesha parhne se sab kaam banenge.
Dushman maghlub rahenge.
1) Das baar 2) Das baar 3) Das baar 4) Das baar 5) Das baar Qaza-e-hajaat wa husoole zafar wa
maghloobiye dushmana
1.
Aath Sau Chohattar (874)
baar awwal wa aakhir 11-11 martaba Durood
Sahrif is mukar’rara miqdar ke mutabiq bawuzoo Qibla rookh do janu baith kar rozana ta
husoole murad parhein aur isi Kalme ko
uthhte-baithhte har hal mein be gintee be
shumar parhte rahein.
4
2.
Ise sade char sau (450)
baar rozana ta husoole murad, Awwal wa
aakhir Durud sharif Gyarah-Gyarah (11-11)
baar jis waqt ghabrahat ho is kalme ki be
shumar taksir karein (Kasrat se parhe)
3. Baad Namaz-e-Isha Ek Sau Gyarah (111)
baar parhe.
Tufaile Hazrat Dastgir dushman howe zer
Awwal wa aakhir Gyarah - Gyarah (11-11)
baar Durud sharif ta husoole murad, Yah
Teeno amal upar bayan kiye huye kamo ke
liye nihayat mujarrab wa sahlul husool hai.
Inse gaflat na ki jaye, Jab hajat pesh aaye to
har ek itne-itne muqrara tadad par parha jaye,
pahale aur dusre ke liye koi waqt muqrar nahi,
Jis waqt chahein parhe aur Teesre ka waqt
baad Namaz-e-Isha hai. Jab tak murad puri
na Teeno isi tarkib se parhe aur jis zamane
mein koee khas hajat dar pesh na ho to pahle
aur dusre ko rozana Sau-Sau baar parh liya
kare. Awwal wa aakhir teen-teen baar Durud
Sharif parhe.
Zaroori Hidayat
Mazhabe Ahle Sunnat Wal Jama’at par
qaeem rahe, jis par Ulma-e-HarmainSharifain hai (Is se murad wah Ulma-eHarmain-Sharifain hai jinhone devbandiyo,
wahabiyo par fatwa sadir farmaya,
5
jiski tafsil Husamul Harmain Sharif me hai aur
iske musannif Aala Hazrat Imam Ahmad Raza
Radiyallahu Ta’aala Anhu hai). Sunniyo ke
jitne mukhalif yani ke wahabi, devbandi, rafzi,
tablighi, maududi, nadvi, nechari, gair
muqallid, kadiyani wagairhum hai in sab se
juda rahein aur sabko apna dushman aur
mukhalif jane, Inki baat na sune, In ke pas na
baithhe, In ki koee tahreer na dekhe kyuki
shaitan ko ma’aaz ALLAH dil me waswasa
dalte kuchh der nahi lagti. Aadmi ko jaha’n
maal ya aabroo jane ka andesha ho waha
hargiz na jayega, Deeno Iman sab se zyada
azeez chiz hai, Iman ki hifazat mein had se
zyada koshish farz hai, Duniya ki izzat aur
duniya ki zindagi duniya hi tak hai, Deeno
Iman ka hameshgi ke ghar mein kaam padta
hai lehaza in ki fikra sab se zyada lazim hai.
2. Namaze panjgana ki pabandi nihayat
zaroori hai, Mardo ko Masjid mein jama’at ke
sathh Namaz adaa karna wajib hai, be
Namazi Musalman goya tasweer ka aadmi
hai ki zahiri soorat insan ki magar insan ka
kaam kuchh nahi hai. Be Namazi wahi nahi
hai jo kabhi na parhe balki jo Ek waqt ki bhi
Namaz kasdan kho de wah be Namazi hai.
Kisi ki naukari mulazmat khwah tizarat
wagairah kisi hajat ke tahat Namaz qaza kar
dena sakht na shukri hai aur parle sire ki
6
nadani hai. Koee Aaqa yaha’n tak ki qafir
kabhi agar koee naukar ho mulazim ko
Namaz se baaz nahi rakh rakh sakta aur agar
mana kare to aisi naukari harame qatayi hai
aur koee wasilaye rizk Namaz khokar barkat
nahi la sakta hai. Rizk to USKE DASTE
QUDRAT Me hai jis ne Namaz farz ki hai aur
uske tark karne par gazab farmata hai. (Al Ayaz
Billahi Ta’aala)
3. Jitni Namaze qaza ho gayi hai sab ka aisa
hisab kare ke takhmine mein baki na rahe
jaye, Zyada ho jaye to harz nahi aur wah sab
baqdre taqat rafta-rafta nihayat jald adaa
karein, kahilee na karein ki maut ka waqt
hame malum nahi aur jabtak Farz zimma par
baki hota hai koee nafl qabool nahi kiya jata.
Qaza Namaze jab tak mut’addid ho jaye
maslan Sau baar ki Farz qaza hai to har baar
yu’n niyyat kare ki “Sab mein pahali wah fajra
jo muz se qaza huee” yani ke jab ada huyi to
bakiyo mein jo sab se pahali hai, Isi tarah
Zohar wagairah har Namaz mein niyyat
karein. Qaza mein faqat Farz aur Vitra yani
har din aur raat ki Bees (20) rakat adaa ki jati
hai.
4) Jitne roze bhi qaza huye ho Doosra
Ramzan aane se pahale adaa kar liye jaye ki
Hadees Sharif mein hai ki jab tak pichhle
7
Ramzan ke roze ki qaza na kar li jaye agale
roze qabool nahi hote.
5) Jo sahibe maal hai Zakat bhi de aur jitne
barso ki na di ho fauran hisab kar ke ada
karein. Har saal ki Zakat saal tamam hone se
pahale de diya karein, Saal tamam hone ke
baad der lagana gunah hai, Lehaza shuru
saal se rafta-rafta dete rahein, Saal tamam
par hisab karein agar poori adaa ho gayi to
behtar warna jitni baaki ho fauran de de aur
agar kochh zyada nikal gaya hai to wah
aayinda saal mein jod lein ke ALLAH TA’AALA
kisi ke nek kaam ko zaya nahi karta.
6) Sahibe isteta’at (Jise taqat ho wah) par Hajj
bhi Farze aazam hai. ALLAH AJJ WA JALL ne
iski farziyat bayan kar ke farmaya
Tarjuma: “Aur jo kufra
karein ALLAH sare jahan se be parwah”. Nabi
Sallallahu Alaihi Wasallam ne tarike Hajj (Hajj
chhodne wale) ko farmaya hai ki chahe
yahoodi ho kar mare ya nasrani ho kar. (Wal Ayaz
Billahi Ta’aala) Andesho ke baees baaz na rahe.
7) Kizb, Fahash, Chugli, Gibat, Zina, Livatat,
Zulm, Khayanat, Riya (Ibadat mein dikhawa),
Takbbur, Dadhi mundana ya katarwana,
Fasiqo ki baj’a pahn’na, Har buri khaslat se
bache. Jo in bato ka hamil rahenga
8
ALLAH wa Rasool ke wade se us ke liye
Jannat hai (Jalla Jalaluhoo Wa Sallallahu
Ta’aala Alaihi Wasallam) Aameen.
Baad Namaze Panjgana Kable Shuru
Panje Ganje Qadri Parhe
Girde man, Girde khan’e man wa girde zano
farzandane man wa girde maalo dostane
man hisare hifazate tu shawad wa tu nigehdar
bashi ya ALLAHU bi haqqi Sulaimanabni
Da’uda Alaihissalam wa bihaqqi ahyan
ashrahiyyan wa bihaqqi aliqam maliqan ant
ta’alumu mafil quloobi va bihaqqi laa ilaha
illallahu Muhammadur Rasoolullahi wa
bihaqqi ya mominu ya muhaiminu sallallahu
ta’aala aalihi wa sahbihi wasallam. Yah Ek
baar parhkar angushte shahadat par dam kar
ke teen baar apne sidhe kaan ki janib ba
niyyate hisar kalme ki ungli se halka khicha
kare (Gol dayara karein), Har waqt aisa hi
kare fir us waqt ka panj-ganj se shuru karein
aur agar har waqt panj-ganj ke amal ke baad
(72) baar iska aur izafa kare to aur behtar
hai aur agar chahe to panj waqta Namazo ke
Baad ise parhe
9
Waqt-e-Fajra Waqt-e-Zohar Waqt-e-Astr
-
Waqt-e-Magrib Waqt-e-Isha
-
Har waqt Ek Sau Gyarah(111) baar, Awwal wa
aakhir Gyarah-Gyarah baar Durud Sharif aur
raat ke waqt Durude Gausiya Sharif 500 baar
aur izafa karein ki Panj-Ganje khas ho jaye.
Awwal wa aakhir Gyarah-Gyarah baar Durud
Sharif ya kam az kam Teen baar shab ko sote
waqt bhi yah hisar parha karein aur angushte
shahadat par dam kar ke makan ke hisar ki
niyyat se apne ird-gird hathh lamba kar ke
chau tarfa halka khiche fir chit let kar ghutne
khade kar ke Dono hathh duaa ki tarah failaye
huye seene par rakh kar Aaytal Kursi Sharif
Ek baar, Charo Qul tartib ke sathh sirf Qul
Huwallah Teen baar baki Ek-Ek baar parha
karein aur hatho par dam kar ke apne sar se
paon tak aage peeche, Dayein-Bayein
tamam jism par hath fer ke dahinee karwat
par soya kare. Chhote bacche jo khud nahi
parh sakte unke bado me se koee hathho par
10
dam karke unke jism par hathh fera kare.
Suraye Waqiya, Suraye Yaseen aur Suraye
Mulk yaad kar lein yah Teeno surate bhi bila
naga sote waqt shab mein parh liya karein.
jab tak hifz na ho Qur’aane Azeem se dekh
kar parhe, yah sab parhne ke baad fir koee
baat na ki jayein, Chup soye rahein. Shab
mein agar zaroori baat karna hi ho to baat
karle, baat karli to fir Ek baar Suraye Qafirun
parhkar chupke so jayein, IN SHA ALLAH
TA’AALA balao se mahfooz rahenge aur
khuda nasib farmaye daulate bedar deedare
faiz aasar, Sarkare abde karar, Huzoor
sayyide Abrar Sallallahu Ta’aala Alaihi
wasallam se IN SHA ALLAH Khatma Iman
par hoga, Azab se bache rahenge magar sahi
parhna shart hai. Qur’aane azim jo sahi na
parhta ho us par farz hai ki jald parhna sikhe,
har harf ko us ke sahi makhraz se nikale.
Zikre Nafi aur Isbat
200 Baar 400 Baar 600 Baar Awwal wa aakhir Durood Sharif
Teen-Teen baar parhe
11
Tarkibe Zikre Jahar
Zikre jahar se pahale das baar Durud Sharif,
Das baar istigfar, Teen baar yah aayat:
Parh kar apne uper dam kare fir zikre jahar
shuru kare. La ilaha illallahu 200 baar,
Illallahu 400 baar, ALLAHU-ALLAHU 600
baar, Yah kul 12 tasbih ka zikra hai iske baad
huq-huq 100 baar ya kamo besh bataure seh
(3) jarbi ya (4) jarbi.
Yaad Dahani
Yaad daari ki waqte zadne tu
Hama khanda’n budand tu girya
Aa’n chuna’n zi ke waqte murdane tu
Hama girya’n shawand tu khanda’n
Aye aziz! yaad rakh teri paidayish ke waqt sab
has rahe thhe magar tu ro raha thha. Aisa jina
jee ke teri maut ke waqt sab rote ho aur tu
hasta ho. Tu agar ikhlas se yaade ilahi mein
aaho zari karta rahe, Hijre Habeeb wa firake
mahboob mein dil tapa’n, seena birya’n, girya
kuna’n rahe to zaroor zaroor waqte inteqal
visale mahboob pa kar shado farha’n aur tere
firaq par makhlooq nala’n wa parehsa’n hogi.
Aye aziz! Apne yah ahad yaad rakh jo tune
KHUDA se US ke is nachis gunahgar bande
12
ke hathh mein hathh dekar kiye hai aur is faqir
be tauqir ke liye bhi duaa kar ke jaisi chahiye
waisi pabandiye ehkame KHUDA bandi mein
jiu’n, Ta dame wapsi aisi pabandi karta rahu’n.
Aye aziz! tune ahad kiya hai ki tu mazhabe
muhazzab Ahle Sunnat par qayim rahega. Is
par sakhti se qayim rahna
yaad rakhna.
Aye aziz! yaad rakh tune ahad kiya hai ki tu
Namaz, Roze, Har Farz Wajib ko bhi in ke
waqto par adaa karta rahega aur gunaho se
bachta rahega. KHUDA kare tu apne ahad par
kayim rahe. Ahad todna haram hai aur sakht
aib aur nihayat bura kaam hai. Wafaye ahad
lazim hai, Agarche kisi adna se adna
makhlookh se kiya ho, Yah ahad to tune
KHALIQE JALLA WA ALA se kiye hai.
Aye aziz! Maut ko yaad rakh, Agar maut yaad
rakhega to IN SHA ALLAH TA’AALA Halaqat
se bacha rahega, Deeno Iman salamat le
jayega aur itteba’e Shariat karta rahega to
gunaho se bachta rahega.
Aye aziz! Aaj jaag le maut ke baad sukh chain
itminan wa aaram ki neend sota rahega.
Tuzse Farishte kahenge
Sun, Sun, Sun jagna hai jaag le aflak ke saye
tale, Hashra tak sota rahega khak ke saye tale
13
Aye aziz! Duniya par mat riz diniya par wala
wa shaida hona hi KHUDA se gafil hona hai.
Duniya gaflat hi ka naam hai.
Cheest Duniya Az KHUDA Gafil Budan
Ne Qumash Wa Nakra’o Wa Farzando Zan
Parde Ki Ahmiyat
Aurate parde ko Farz jane. Har na mahram se
parda Farz hai, Na be parda fire na be parda
ghar mein rahein. Barik kapde jinse badan ya
baal chamke pahen kar paayincho se upar ka
hissa aur gala, Seena kholkar ya barik kapdo
se numaya’n hone ki halat mein mahaz gair
nahi, Jethh, Dewar, Bahnoyi bhi nahi, Apne
sage chachazad, Khalazad, Fufizad aur
mamuzad bhai ke samne hona bhi haram hai,
Haram Hai, Bad anjam hai. Mardo par Farz
hai ki wah beebiyo, Betiyo, Bahano
wagairaha maharim ko be pardagi ki takid
karein aur huqm na man’ne par unhe saza de
sakte hai. Jo mard apne maharim ki be
pardagi ki parwah na karega, Gair mahramo
ke samne firaega, Khusoosan is tarah ke be
pardagi ke sathh be satri bhi baaz aaza ki ho
dayyus thhahrega. (Wal Ayaz Billahi Ta’aala)
14
Yara’n Bakoshed
Kiye Ja’o Koshish Mere Dosto
Na Koshish Se Ik Aan Ko Tum Thako
KHUDA ki talab mein koshish karte raho,
Jitne ho sake mujahide karo yaqine kamyabi
wa kamrani rakho. ALLAH TA’AALA Farmata
hai:
“Jo
hamari talab mein karte hai zaroor ham unhe
rahe dikhate, Maqsood se wasil farmate
(Milate)hai”. MAULA TA’AALA Tumhare liye
fat’he har babe khair bilkhair farmaye. US ki
raah mein qadam rakhte hi ALLAH KAREEM
ke zimma’e karam par tumhare liye ajra hoga.
Huzoor Purnoor Alaihissalatu Wassalam
farmate hai : “
” “ Jo kisi
shai ka talib hoga aur koshish karega pa lega”
Hadees hi ka irshad hai: Ha’n ha’n barhe
chalo barabar barhr chalo, Mohbbat wa ikhlas
shart hai. Peer ki mohbbat Rasool ki mohbbat
hai, Rasool ki Mohbbat KHUDA ki mohbbat
hai. Jitni mohbbat zyada hogi aur jitni aqidat
pukhta ho utna hi fayada zyada se zyada
15
hoga, Agarche Peer az aahade naas ho(aam
insan hi ho) wah ba kamal na ho magar peer
sahi ho ki sharayite peeri ka jame ho. Silsila
muttasil hoga to Sarkar ke faiz se zaroor faiz
milega, Aye farzande tauhid har amra mein
tauhid ko nigah rakh.
KHUDA Yake, MOHAMMAD Yake
Wa Peer Yake
Tera Qiblaye tawajjo Ek hona, Ek hi rahna
lazim, Pareshan nazar pareshan khatir,
Dhobi ka kutta ghar ka na ghat ka, na ban.
Mahwaye razae huq ho ja, Shariat ki pairavi
kar, Jadaye Shariat ki pairavi kar, Jadaye
Shariat se Ek kadam bahar na rakhna,
Khana-Peena, Uthhna-Baithhna, LetnaSona, Aana-Jaana, Kahna-Sun’na, Lena Dena, Kamana- Sarf Karna, Har kaam USI ke
liye kar, USI ki raza madde nazar ho. Aye
Razvi! Fana fir’raza ho kar sarapa razae
ahmado razae ILAHI ho ja. Tera maqsud bas
tera mabud ho. US ki raza hi tera mabud ho,
Us ki raza hi tera matlub ho.
Firaqo Wasl Che Khwahi Razae Dost Talab
Ke Haif Bashad Azo Gaire ‘U’ Tamannae
Riya (Dikhawa) se bachne ki koshish karte
rahna, Har kaam ikhlas se khuda ki raza ke
liye bittibaye Shariat karna badi sa’aadat,
16
Azim muzahida wa riyazat hai. Is talluk se
hamare baaz masha’ikh ka irshad hai: “Log
riyazato ki hawas karte hai, Koee riyazat wa
mujahida arkano aadabe Namaz ki riyayat
karne ke barabar nahi”, Khususan pacho
waqt Masjid mein Namaz ba jama’at ada
karna.
Khatme Qur’aane Kareem
Auliya e Kamilin ka irshad hai ki bila shub’ha
tilawate Qur’aan barae kazaye hawa’iz
(Zaroorat poori hone ke liye) mujarrab hai.
Jitna bhi roz ho sake adab ke sathh parhta
rahe agar wah is tarah parhe to bahut behtar
hai aur jald IN SHA ALLAH TA’AALA kamiyab
ho. Roze Juma se shuru karo aur Panj
Shamba (Jumerat) ko khatm karo, Roze
Juma az Sooraye Fatiha ta aakhir Sooraye
Tauba, Roze Yak Shamba (Itwar) az Sooraye
Yunus ta aakhir Sooraye Mariam, Roze Do
Shamba(Peer) az Sooraye Taha ta aakhir
Sooraye Qasas, Roze seh shamba (Mangal)
az Sooraye Ankbut ta aakhir Sooraye Saad,
Roze Chahar Shamba (Budh) Az Sooraye
Zumar ta aakhir Sooraye Raheman, Roze
Panj Shamba (Jumerat) az Sooraye Waqiya
ta aakhir Qur’aan khalwat me parhe, Bich
Mein baat na karein. Har muhim ke husool ke
liye alal ittisal (Musalsal) barah khatme
Qur’aan ko akseere aazam yakin karein.
17
Fazilate Durood Sharif
Durood Sharif ke faza’ilo barkat be shumar
Ahadees mein mazkur hai. Yaha sirf Ek
Hadees darj ki jati hai, Jis’se andaza hoga ki
Huzoor Nabi E Kareem Sallallahu TA’AALA
Alaihi Wasallam ke darbare guharbar mein
hadiyaye Durood Sharif pesh karna kis Qadar
fawa’ide wa ukhrawi ko mutzammin hai.
Hazrat Ubaiee bin Ka’ab Radiyallahu
TA’AALA Anhu hai ki “ Maine Nabi e Kareem
Sallallahu TA’AALA Alaihi Wasallam se arz
kiya ke Huzoor mai Aap par bakasrat Durood
bhejna chahata hun to iske liye kitna waqt
muqrrar karun? Huzoor Nabi e Kareem
Sallallahu TA’AALA Alaihi Wasallam ne
farmaya “ Jitna chaho” Maine Arz kiya ke
Chauthhayi waqt? farmaya ki “Tumhari
khushi! Ha’n agar zyada karo to tumhare liye
behtar hai” Maine arz kiya ki Do Tihayi waqt?
Farmaya ki tumhe ikhtiyar hai, Ha’n agar
zyada karo to tumhare lye behtar hai! Maine
kaha Huzoor tamam waqt? To Huzoor
Rehmate Aalam Sallallahu TA’AALA Alaihi
Wasallam ne irshad farmaya ki agar aisa karo
to tumhare tamam maqasid (Deeni wa
Duniyawi) pure honge aur tamam gunah
(Zahiri wa Batini) mita diye jayenge” (Tirmizi Sharif)
18
Tasawure Shaikh
Khalwat mein aawazo se dur, Rukh ba
makane Shaikh aur agar wisal ho gaya to jis
taraf mazare Shaikh ho muwajje ho kar
baithhe. Mahez khamosh ba adab ba-kamale
khushu’a aur Soorate shaikh ka taswwur kare
aur apne aap ko un ke huzoor jane aur yah
khayal dil mein jamae ki Sarkare Risalat Alaihi
Afzlus Salatu Wassalam se anware
fuyuz,Shaikh ke qalb par fayiz ho rahe hai aur
mera qalb, qalbe shaikh ke niche ba halate
daryoozah gari (Bhik mangne ki soorat mein)
laga huaa hai. Us mein se anwaro fuyuz ubalubal kar mere dil mein aa rahein hai. Is
tasawwur ko barhayiye yahan tak ki jam jaye
aur taklluf ki hajat na rahe is inteha par
soorate Shaikh khud muttasil (Saya) ho kar
mureed ke sathh rahegi aur har kaam me
madad degi aur rah mein jo mushkil use pesh
aayengi us ka hal batayegi.
Har Namaz Ke Baad Yah Munazaat Parhe
Ya ILAHI Har Jagah Teri Ata Ka Sathh Ho,
Jab Pade Mushkil Shahe Mushkil Kusha Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Bhul Ja’un Naja’a Ki Takleef Ko,
Shadi’e Deedar Husne Mustafa Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Gore Teera Ki Jab Aaye Sakht Raat,
Unke Pyare Munh Ki Subahe Ja’n Fiza Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Jab Pade Mahshar Mein Shore Daro Gir,
Amn Dene Wale Pyare Peshwa Ka Sathh Ho
19
Ya ILAHI Jab Zabane Bahar Aayein Pyas Se,
Sahibe Kausar Shahe Joodo Ata Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Sard Mohari Par Ho Jab Khurshide Hashra,
Sayyade Be Saye Ke Ke Zille Liwa Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Garmiye Mehshar Se Jab Bhadke Badan,
Damane Mehboob Ki Thhandi Hawa Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Namaye Aamal Jab Khulne Lage,
Aib Poshe Khalq Sattare Khata Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Jab Bahein Aankhe Hisabo Jurm Mein,
Un Tabassum Rez Honto Ki Duaa Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Jab Hisabe Khandaye Be Ja Rulaye,
Chashme Giryane Shafiye Murtaza Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Rang Layein Jab Meri Be Bakiya’n,
Un Ki Nichi Nichi Nazro Ki Haya Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Jab Chalun Tarik Rahe Pul Sirat,
Aaftabe Hashmi Noorul Huda Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Jab Sare Shamshir Par Chalna Pade,
Rabbe Sallim Kahne Wale Gam Zuda Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Jo Duaayein Nek Ham Tuz Se Karein,
Kudsiyo Ke Lab Se Aami Rabbana Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Jab Raza Khwabe Gira’n Se Sar Uthhayein
Daulate Bedar Ishqe Mustafa Ka Sathh Ho
Ya ILAHI Le Chale Jab Dafn Karne Qabra Me,
Gause Aazam Peshwaye Auliya Ka Sath Ho.
20
http://www.jamiaturraza.com
http://www.aalaahazrat.com
“Build your house in Jannah”
Con trib u te ToBu ildin g Ha m idi M a sjid
Ba reilly Sh a rif, In dia
The Beloved Prophet Hazrat Mohmmad Sallallahu Ta’aala Alaihi Wasallam
Said:“Whoever builds a mosque for ALLAH, ALLAH will build a home for him
in paradise made of Pearls and Rubies.” Ref: Jaami’ al-Ahadith
Visit Hamidi Masjid Website:
http://www.jamiaturraza.com/hamidi-masjid/
Click For Bank Details/Donation:
http://www.jamiaturraza.com/hamidi-masjid/?page_id=130
Contact For Donate:
Alhaj Abdul Latif Razvi
+91 99 20 667984
Nadeem Sobhani Razvi
+91 99 67 647866
Jamat Raza-E-Mustafa
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barelvi
Radi ALLAHO Anhu Ki Qayam Karda 94 Years Ki
Duniya Ki Wahid Aisi Deeni Tanzeem Jiska Har Kaam
Shariat-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ke
Mutabik aur Khush Aqida Sunni Musalmano Ke Falah
Bahbud Ke Liye Hota Hai Jo Markaze Ahle Sunnat
Bareilly Sharif Ka Aham Maqsad Hai aur Is Tanzeem
Ki Sarparasti Huzoor Tajushshariah Mufti
Mohammad Akhtar Raza Khan Damat
Barkatuhumool Aaliya wa Sadarat Janashine Huzoor
Tajushshariah Mufti Mohammad Asjad Raza Khan
Damat Barkatuhumul Aaliya Kar Rahe Hai Lehaza
Isise Iske Sehal wa Sehat Ka Pata Chalta Hai.
-: Appeal :-
Jamat Raza-E-Mustafa Ke Member Bane, Apne
Ilake Me Iski Shakh Kayam Kare aur Deeni
Kamo Ke Liye Har Tarah Se Iski Imdad Kare
Member Ban’neke Click Kare
Branch Form Ke Liye Click Kare
Deeni Kamo Ke Liye Donation
-: Contact :Alhaj Abdul Latif Razvi
+91 99 20 667984
Sayyed Jamir Razvi
+91 98 90 084959
Atiq Ahmad Hashmati
+91 97 19 918868